E Maut! Dost Mere, Abhi Ja, Phir Aana Kabhi
Abhi-Abhi To Meri Zindagi Se Mulaqat Hui Hain
Kadam Padte Hi Unke Mere Qasr-E-Zulmat* Mei
Andhere Kuuchaa* Ke Roshni Se Mulaqat Hui Hain
Le Ayi Woh Sangh Apne Chun Phool Bahaar Ke
Aaj In Sanson K Khushboo Se Mulaqat Hui Hain
Uske Halke Sparsh Ne, N.Jaane Kya Kar Daala
Aaj Is Bejaan Jism Ke Ruuh Se Mulaqat Hui Hain
Aankhon Ke Paani Mein Aaj Ek Mithaas Si Hain
Aaj Mudat Ke Baad Khushi Se Mulaqat Hui Hain
Khamoshi Mein, Phir Shorr Kaa Ehsaas Hua Hain
Lagta Hai, Dil K Dhadkan Se Mulaqat Hui Hain
E Maut! Dost Mere, Abhi Ja, Phir Aana Kabhi
Abhi-Abhi To Meri Zindagi Se Mulaqat Hui Hain