Durr Kahin Khwaabon Ki Nagri
Aur Paas Dard Ka Dariya Hai
Bhujte Armaano Ki Hai Kashti
Aur Tanhai Ka Safar Ye Lamba Hai
Kabhi Girti Kabhi Sambhalti
Ansuon Se Bhara Raah Mei Jharna Hai
Geeton Mei Bhi Chubhte Hain Kaante
Sang Lavfzo Ka Mere Kaafila‚  Hai
Kabhi Sochu Ruk Jaaon Mein
Par Us Khwaab Ko Bhi Paana Hai
Rukhti Thamti Chalti Hai Zindgi
Ek Ghaav Thoda Purana Hai
Aaj Dur Manzil Hai Lekin
Ek Roj Use Hi Paana Hai
Chaahe Tufaano Se Ham Uljhe
Par Har Kadam Manzil Ki Taraf Badhana Hai