Dukh Ki Aahat Ko Kabhi Tu Samjhon
Akhir Mein Sukh Ka Maza Hee Detee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Naferman Kab Tek Apnay Dil Mein Fermaan Chopaay Beithey Gaein
Akhir Mein Unhay Apni Hee Gawahe Dene Perthee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Mayoosee Ko Kabhi Qereeb Na Aanay Deya Kero
Mayosi He Mayosi Ko Barhawa Detee Hai
Zindagi Tu Phir Yu He Guzartee Rehtee Hai
Pyaar Mein Kabhi Kisi Ko Dokha Na Dena
Akhir Mein Thokar He Khanee Perhtee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Sahilon Per Ghamon Ko Bholaana Achee Aadat Nahin
Zindagi Tu Phir Inhee Shahron Mein Guzanrnee Perhtee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehte Hai
Gheron Ko Itna Bhi Gher Na Keredeya Kero
Akhir Mein Kabhi Apno Ki Bhi Bewafayee Sehnee Perthee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Zindagi Ko Kabhi Qereeb Se Na Dekhna
Akhir Yeh Aankhon Mein Ek Jheel Hee Tekhleeq Kertee Hai
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Soraj Ko Kabhi Chaand Se Terjeeh Na Dena
Is Hee Ki Kiranay Chaand Ko Chamaknay Mein Madad Detee Hain
Zindagi Tu Phir Yu Hee Guzartee Rehtee Hai
Apnay Rab Ki Hamesha Ibadat Keya Kero
In Mayyosyon Mein Ek Ushee Ki Zaat Saat Detee Hai
Phir Zindagi Ek Nayee Disha Mein Chaltee Hai