Dosti Na Karna Kabhi
Dosti Se Darr Lagta Hai
Kab Dagga De Jaaye, Dost Dushman Bankar
Is Khayaal Se Darr Lagta Hai
Keh Denge Agar, Ki Darr Gaye Hum
Dost Naraaz Hi Na Ho Jaaye Kahin
Is Baat Se Darr Lagta Hai
Dost Ki Khaamoshi Samajh Aati Hai
Rooth Ke Ik Pal Me, Phir Maan Jaaye
Uske Is Mazaak Se Darr Lagta Hai
Dil To Yehi Kehta Hai Baar Baar
Ki Dosti Na Karna Ae Yaar
Par Dost Ke Bina Tanha Jeene Se, Darr Lagta Hai
Anjaano Ki Bheed Me Khud Ko, Tanha Paane Se Darr Lagta Hai
Dosti Ki Aazmaaishon Se Darr Lagta Hai
Dost Ke Rooth Jaane Se Darr Lagta Hai
Dosti Ke Toot Jaane Se Darr Lagta Hai