Dost Banaya Hai Apna To Dosti Nibhao Yaro
Kadam-Dar Kadam Hume Youn Na Azmao Yaaro,
Har Imtehan Ke Liye Tayyar Hai Hum
Lekin Pehle Apna Wajood Bhi To Banao Yaaro,
Humari Nazro Men To Tum Aaj Bhi Wohi Ho
Apni Nazro Me Thodi Murav Vat To Lao Yaaro,
Zamane Ki Ungliya Tumhi Per Uth Rahi Hai Har Tarf
Hamari Chodo Pehle Unhe Samjhao Yaaro,
Kisi Jhoti Hamdardi Se Kyun Dete Ho Dilasa
Pehle Khud Ko Sach Ka Aaina Dikhao Yaaro,
Kya Sochte Ho Mita Doge Hasti Meri,
Pehle Kisi Rotey Hue Bacche Ko Chupao Yaaro,
Jis Dosti Per Kal Tak Tha Hume Fakhr Bahut” Kashif”
Chalo Aaj Kahi Ise Dafnaa Aao Yaaro