Dosh Mujh Ko Upni Berbadi Ka Yaaron Per Nahin
Ye Gilla Kismut Se Hai Kismut Ke Maroun Per Nahin
Phul Ki Putti Peh Likh Ker Bhaijta Main Khat Tujhay
Rukh Hawaoun Ke Mager Mayray Isharoun Per Nahin
Chun Raha Houn Main To Us Ki Zulf Per Upnay Charagh
Mayri Nazrain Aasmahn Tayray Sittaroun Per Nahin
Main Dikha Doun Ga Unhain Suraj Peh Chul Ker Bhee Kabhi
Jo Samujhtay Hain Ke Mayray Paoun Ungaroun Per Nahin
Dub Ker Daikha Hai Main Ne Pyaar Ke Derya Mein Aaj
Jo Maza Munjdhar Mein Hai Wo Kinnaroun Per Nahin
Tod Dali Hai Ghumoun Ne Hijr Ki Talwar Jo
Mayri Sochain Aaj Us Ke Taiz Waroun Per Nahin
Mayray Senay Per Ager Phailli Howi Khushbu Na Thi
Yeh Gilla Phuloun Se Hai Phuloun Ke Haroun Per Nahin
Wo Samujhtay Hain Mayray Hontoun Ko Zakhmi Daikh Ker
Phool Hain Hontoun Peh Mayray Hont Kharoun Per Nahin
Daikh Ker Suraj Bhee Jin Ko Dub Jata Tha Kabhi
Aik Mutti Ka Deya Bhee Ub Mazaroun Per Nahin
Tod Ker Ik Phul Koi Ker Gaya Werahn Chamun
Mujh Ko Afzal Koi Shikwa In Baharoun Per Nahin