Dilon Key Beech Banee Khaiyon Sey Darta Hoon!
Mein Ababeel Hoon: Neechaiyon Se Darta Hoon!
Tum Sey Lurh Leyta Hoon, Pur Sirf Mananey Key Liye;
Is Bharee Bheerh Mein Tanhaiyon Sey Darta Hoon!
Chaahta Hoon, Mein Tumheyn Pyar Karoon, Tum Bhi Karo;
Magar Mein, Jhankteen Purchhaiyon Sey Darta Hoon!
Aarzoo Hai, Woh Utareyn Naqab! Leykin Mein,
Suroor-E-Husn Ki Ranaiyon Sey Darta Hoon!
Woh Bahra Hon, Ki, Bahr-E-Jaw Hon, Khala Hon, Jo Hon?
Uyoon-E-Yar Ki Gahraiyon Sey Darta Hoon!
Nauo Gulab-E-Bahar Tum Ho! Haqeeqat Hai Yah!!
Umra Ki Jhurriyon Sey, Jhaiyon Sey Darta Hoon!
Rat Kali Hai, To Aaye Ho Yahan, Pahloo Mein;
Chandini Rat Ki Goraiyon Sey Darta Hoon!
Hum Miley Hain Hazar Bar Jahan Ja-Ja Kur;
Tum Na Ho To, Unheen Amraiyon Sey Darta Hoon!
Lailiyan Jibh Kareyn Jo Meelad Key Pahley:
Sung Dil, Aisee Sabhi Daiyon Sey Darta Hoon!
Dil Muaamil Hai, To Hur Bar Zehn Hai Munshif;
Abd’ Adeeb Hoon, Buraiyon Sey Darta Hoon!’