Dil Ko Rona,Rooh Ko Khudpe Afsos Aaya,
Aaj Phir Us Bewafa Ka Khyaal Aaya.
Khamosh Lab Aur Sukhi Ankhein Thi,
Unke Khayalo Se Phir Ek Sailaab Aaya.
Dil Ne Unko Kai Baar Bhulana Chaha
Jitna Bhulaya Who Aur Yaad Aaya.
Kya Kami Thi Mere Husno-Ishq Mein
Kyu Us Sangdil Ne Mujhe Itna Sataya.
Meri Ankhon Mein Bas Wohi Base The
Phir Kyu Nahi Unhone Mujhe Apnaya.
Wo Kehgaya Tha Ke Mein Launt Aunga
Ek Arsa Beeta Hai Wo Ab Tak Na Aaya.
Ek Din Intezar Me Unke Yuhi Baithi Thi
Dil Jhum Gaya Tha Jo Unka Khat Aaya.
Us Kagaz Me Khushiyaa Dhund Rahi Thi
Haath Mere Bas Lamba Intezaar Aaya.
Kitni Asanise Likhdiya Ke Mujhe Bhulado
Kyu Unko Mujhpe Koi Taras Na Aaya.
Jis Rishte Ko Itne Armano Se Banaya Tha
Use Khatm Karne Ek Kagazka Tukda Aaya.
Bada Yakin Tha Apne Mazbut Pyaar Pe
Ek Kagaz Ne Use Kitna Kamzor Banaya.
Koi Rishta Mazbut Nahi Hota Hai Farhana
Is Sach Ka Usne Mujhko Ehsaas Dilaya.
Bhul Chuki Hu Unko Mujhe Iska Guma Tha,
Khat Dekhte Sara Manzar Nigaho Me Aaya.
Dil Ko Rona,Rooh Ko Khudpe Afsos Aaya,
Aaj Phir Us Bewafa Ka Khyaal Aaya