Dil Kee Haqeeqat Is Zuba^n Se Naa Guzree Kabhi.
Zamana Samajhta Raha Hum Pe Naa Kuch Guzree Kabhi.
Eik Daur Tha Ke Din Hamare Bhi Rangeen The.
Waisa Bachpan Bhi Gaya Waisi Baten Naa Guzree Kabhi.
Hai! Ye Jawani Ke Din, Tauba-Tauba, Tauba-Tauba.
Dil Pe Wo-Wo Guzree, Jo Thi Naa Guzree Kabhi.
Udhar Aabzoo,Idhar Mahzabi^n, Kahi^n Shufaq Kahi^n Chandni.
Husn-E-Fitrat Bhi Iss Dil Ke Paar Naa Guzree Kabhi.
Apne Jazbaat Ko Saugat Bana Rakha Hai Abb Tak.
Koi Shadab, Koi Gulnaar, Koi Mahak Naa Guzree Kabhi.
Aye Khuda Rumi Ko Een Hasino Se, Aise Hi Bachye Rakhna.
Jo Abb Tak Naa Guzree , Wo Fir Naa Guzre Kabhi.