Dil-E-Barbaad Mein Jakhmon Ki Gunjaish Reh Gayi
Labon Par Dabi Dard Ki Farmaaish Reh Gayi
Jalti Hai Khawabon Ki Chita Bheegi Aankhon Mein
Armaanon Ki Raakh Mein Taesh*-E-Tapish Reh Gayi
Naseeb Mein Likhe Gam Mit_te Kahan Hai Ashkon Se
Mauz-E-Saagar Ki Chattanon Se Aajmaish Reh Gayi
Bekaar Baitha Hai Khuda Suni Ibaadat_gahon Par
Dunia Mein Jab Se Paise Ki Parastish* Reh Gayi
Sunta Nahin Pukaar Yeh Shehar* Gam Ke Fariyaadi Ki
Dard Mein Hadd Se Guzar Jaane Ki Khwaaish Reh Gayi
Taesh=anger Parastish =adoration, Worship
Shehar=city
-Manoj Kureel