Dil Diya Khuda Ne Gham Sehne Ke Aadi Ho Gaye
Jubaan Kyu Kar Di Us Par Jo Phariyaadi Ho Gaye
Yun To Khule Aasmaan Me Udne Ka Shauq Rakhte The
Khoobsurat Yun Qaid Mili To Khilaaf-E-Azaadi Ho Gaye
Kabhi Dard Se Apni Bhi Palakein Nam Hua Karti Thin
Daur-E-Gham Se Jab Ghuzare Dil-O-Zigar Phaulaadi Ho Gaye
Ham Bhi Aaye The Jahan Me Khwaahish-E-Sukun-O-Aman Lekar
Par Zamaane Ne Itne Zakhm Diye Ki Phasaadi Ho Gaye
Khalish Ho Firaaq Ki Ya Ab Khumaar Ho Wasl Ka
Mehsoos Hota Nahi Farq Dono Me Kaise Bunyaadi Ho Gaye
Ab Apni Tenhaai Ko Kahan Pe Milne Bulaaya Karega Musaafir
Is Shehar Ke Raaste Is Qadar Tang-E-Aabaadi Ho Gaye