Dard Ne Itna Dard Diya Ke Dard Bhi Ab Dard Naa Raha
Aadat Mein Shumar Ho Gaya Ke Dard Ka Asar Naa Raha
Bas Yuhin Thora Saa Siher Ke Reh Jaate, Khoon Ka Ghoont Pee Jaate
Haath Bhi Jab Sunn Ho Jaate Phir Bhi Dard Ka Woh Asar Naa Raha
Aankhen Jab Surkh Ho Jaanti, Jaan Bhi Aadhi Reh Jaati
Soch Bhi Naa Saath Ho, Phir Bhi Dard Mein Woh Zeher Naa Raha
Wajood Ko Apne Talashne Nikal Padte, Sawal Apne Aap Sae Hee Karte
Dard Ne Itna Dard Diya K Dard Bhi Ab Dard Naa Raha