Dard Kare Kaise Bayaan
Dardmand Hai Jab Apni Dastaan
Sunaane Se Pehle Hi Aankhein Bhar Aati Hain
Dard Gham Aur Tanhaai De Jaati Hain
Badnaseeb Nikla Main Jo Pyaar Na Paa Saka
Paas Hote Hue Bhi Unke Kareeb Na Aa Saka
Shayad Na Thi Naseeb Mein Chahat Apni
Apno Ko Bhi Na Thi Zaroorat Apni
Aise Gham Ka Maara Hoon Main
Jeet Kar Bhi Unhe Haara Hoon Main
Kaise Kahoon Ke Kisi Ke Jeene Ka Sahaara Hoon Main
Andhera Jiska Saath Na Chorde Aise Ek Sitaara Hoon Main
Dil Ne Chaha Ke Likhde Gham-E-Dil Ek Naye Andaaz Mein
Mil Jaaye Koi Humraaz Tujhe Apne Hum Nawaaz Mein