Dard-E-Dill Ki Dawa Naa Tere Paas Hai Naa Mere Paas Hai
Fir Yeh Dard-E-Bekasee Kab Tak Dard-E-Bekali Kab Tak
Apne Hi Kisi Tasawur Se Aisee Dil-Lagee Kab Tak
Be-Rukhee Ke Parde Men Naaz-O-Dilbaree Kab Tak
Ranj-E-Tanhaai Kyoun, Khaakha-E-Ashiquiee Kab Tak
Subah Phir Mashqqat-E-Zindagi Shaam-E-Ruswaai Kab Tak
Kyon Naa Ham Bhee Dikhlaayen Daagh-E-Diil Unhe
Mehshar-E-Muhabbat Men Yeh Nafsa-Nafsi Kab Tak
Beghaane Ho Gaye Khud Se Mere Apne Hi Saaye
De Gi Yoon Fareb Aakhir Meri Zindagee Kab Tak
Subh-O-Shaam Bas Teri Yaadon Ke Nastar Hai
Haaye Is Tarah Kategi Meri Zindagi Kab Tak