Dard-E-Dil Ke Waaste Paida Kiya Insaan Ko
Warna Taa’at Ke Liye Kuch Kam Ne The Karro-Biyan
Poochne Waale Tumhain Kaise Batain Aakhir
Dukh Ibaraat To Nahi Hai Ke Likh Kar Bhejun
Yeh Kahani Bhi Nahi Hai Ke Sunaaun Tum Ko
Na Koi Baat Hai Aisi Ke Bataaun Tum Ko
Zakhm Ho To Tere Nakhun Ke Hawaale Kar Doon
Aaina Bhi To Nahi Hai Key Dikhaaun Tum Ko
Yeh Koi Raaz Nahi, Jis Ko Chupain To Woh Raaz
Kabhi Chahre Kabhi Aakhon Se Chalak Jata Hai
Jaise Aanchal Ko Sambhale Koi Aur Tez Hawa
Jub Bhi Chalti Hai To Shaanon Se Dhalak Jata Hai
Tum Ne Poocha Hai Magar Kaise Batain Akhir?
Poochne Waale Tumhain Kaise Batain Aakhir ?