Chehray Main Chupha Aik Chehra Dikhaati Hai Ankhain
Aur Bhi Kai Raaz Ki Batain Bataati Hai Ankhain
Main Un Main Talash Kerta Hoon Us Ki Afsardagi Ka Maqsad
Aur Yeh Mujhay Daikh Daikh Ker Muskuraati Hain Ankhain
Main Jitna Chahoon Un Say Duur Chala Jaaon
Utna Hi Mujhay Apni Taraf Bulaati Hain Ankhain
Uthna, Jhukna, Jhuk Ker Uthna
Kis Kis Tarah Say Mujhay Sataati Hain Ankhain
Jab Hoti Hay Alfaaz Ki Kami To Dekhta Hoon Inhain
Ek Nai Ghazal Her Baar Sunaati Hain Ankhain
Daikhta Hoon Jab Bhi Paata Hoon Inhain Num
Apnay Saath Mujhay Bhi Rulaati Hai Ankhain
Hazaar Rat Jagon Ki Dastaan Suna Suna Ker
Saari Raat Mujhay Bhi Jagaati Hain Ankhain
Poochay Koi Un Say Hai Kaisa Yeh Deewana Pun
Rog Umar Bhar Ka Khud Ko Lagaati Hai Ankhain