Chat Ke Kone Mai Khada Shakhs,
Bante Bigadte Bikharte Aks,
Aate Hai Jate Hai Log Hazaro,
Har Ek Mai Dikhte Bhed Hazaaro
Mit Jate Hai Kayi Ishare-Ishare Main
Aur Hue Fana Kitne Dil Lagane Main
Dil Ka Khail Hai Ye Ya
Koi Fasana Ye “Sacha_Pyaar,
Khathm Hue Insan Armanon Arzu Liye,
Par Mit Paye Kahan Dilon Se Iske Naksh
Bante Bigadte Bikharte Aks,
Yahi Soch Raha Tha
Chatt Ke Kone Khada Wo Shakhs
Apni Majburiyon Ko Aadat Maan
Bech Diye Sabne Dil-O-Imaan
Lafz Mohabbat Ke Kise Ban Rahe
Bik Galiyon Main Tan Aur Man Rahe
Dil Kured Usse Chedkaani Karte Log
Ashk Meri Aankhon Se Behte Ja Rahe
Khuda Ye Fariyaad Kehte Jaa Rahe
Mere Ashk Mitti Main Mila Chahe
Sabko Yahan Khushiya Baksh
Bante Bigadte Bikharte Aks,
Yahi Soch Raha Tha Chat Ke Kone Khada Wo Shakhs