Charon Or Kanch Se Ddhaka Hua Wo Prakash
Ubhrega Kisi Darar Se Jaise Nayi-Nayi
Koi Umed Talashti Hai
Jhaankti Hai Aate Kadmon Ko
Jiski Talash Ne Mere Mozhon Mein Surak Kar
Nayi Darar Ko Janm De Diya Ho.
Phattey Mozhon Ls Jhaankta
Woh Angutha Jaise Keh Raha Ho
Andhere Ki Datan. Aaj Main Bhi To
Darar Khaayi Kismat Se Muhn Ko Nikalkar
Talaash Raha Hun Uss Roshni Ko
Jo Kabhi Jhaanka Karti Mere Tute Darwaze Ki Dard Se
Jab Kabhi Bhi Jalata Tha Us ‘Laal.Tain’ Per
Apne Suraj Ko Sham Hone Se Pehle
Purane Surya Ki Hatya Karke.