Chand Taaron Ki Tarah Wo Bhi Chamakta Nikla,
Jo Bhi Unke Paas Se Gujra Mahakta Nikla,
Aankh Se Aankh Mila Kar Jo Pilai Usne,
Pi Ke Madhosh Hua Aur Behakta Nikla,
Chain Din Ka Bhi Gaya Nind Udhi Raaton Ki,
Unke Pahlu Se Jo Bhi Nikla Siskta Nikla,
Mere Jahan-E-Dil Mein Unke Husn Ki Roshani Hai,
Khamosi Unke Honto Ki Tootne Na Payi,
Do Pyar Ke Lafz Ke Liye Koi Bikharta Nikla,
Ye Alam Tha Unke Husn Aur Jalwe Ka,
Jo Unke Paas Se Nikla Damakta Nikla,
“Raaj” Ke Dil-O-Dimag Mein Is Kadar Chaye Wo,
Lab Se Ghazal Bhi Nikla To Sanwrta Nikla.
By Rajnish Raaj