Chaand Mein Daag Augar Hai To Mohabbat Ka Hoga
Wo Bhi Kissi Shaks Ki Khatir Kabhi Tadpa Hoga
Gayi Raat Main Aaine Mein Kuch Dekhta Hi Raha
Mujhe Gumaan Mere Mehbub Ka Chehra Hoga
Mera Pyaar Samander Mein Samaa Sakta Nahi
Kissi Roz Wo Aasmaan Mein Bikhra Hoga
Hume Bhi Chaand Ne Apne Nagar Bulaaya Hai
Ye Sun Ke Rang Mere Mehbub Ka Utra Hoga
Ke Usski Boli Mein Ras Hain Bahaar Ke Shayad
Khuda Ke Ghar Mein Usski Awaaz Ka Charcha Hoga
Mujhe Bhula Ke Kissi Per Wo Meharbaa Hai Bahut
Chuna Hai Ussne Augar Ussko To Accha Hoga
Naqaab Udh Liya Chaand Ne Bhi Baadal Ka
Mera Mehbub Ghar Ki Chat Pe Abhi Nikla Hoga
Huzur Bojh Zindgi Ke Bahut Bhaari Hain
Ro Lene Dijiye Mera Gum Jara Halka Hoga
Kahaan Judaa Hai Karan Tujhse E Mehbub Mere
Shayri Bann Ke Tere Labh Se Abhi Chalka Hoga