Bohat Hi Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khola
Bohat Se Chehray Nazar Mei Utray
Bohat Se Naamo Pe Dil Bhar Aya
Ek Aisa Safah Bhi Ismei Aaya (Safah=page)
Lekha Howa Tha Jo Aansoon Se
K Jiska Unwaan Humsafar Tha (Unwaan=subject)
Woh Safah Sab Se Hi Mautabar Tha (Mautabar=most Respectful)
Kuch Aur Aansoon Phir Usper Tapkay
Phir Iss Se Agay Main Parh Na Paya
Kitaab-E-Maazi Ko Band Karkay
Tumhari Yaadoon Mei Khoo Gaya Main
K Agar Tu Milta Tu Kaisa Hota
Bas Inhi Khiyalooon Mei Soo Gaya Main