Bhookh Ke Bazar Me Neelam Imaan Ho Gaya
Zarra Zarra Bik Gaya Khokhla Insaan Ho Gaya
Asmat Au Insaniyat Ki Bazi Kheli Taqdeer Ne
Behakte Pason Me Bashar Luta Saaman Ho Gaya
Khwabon Ko Deker Thapki Sulane Chale Derker Kabhi
Khuli Ankhon Me Chamakta Uadas Asmaan Ho Gaya
Bebas Muradey Taqti Rahey Soone Phalak Ki Aas Me
Sitaron Me “Roti Sa Chand”Gerdis-E-Makan Ho Gaya
Bagawat Ki Andhi Urati Rahi Dhool Ke Tinke Phakat
Sholey Banker Chehro Pe Berse Ashq-E-Nishan Ho Gaya
Muflisi Ki Raah Me Ek Din Aisa Bhi Daur Aya “Humtum’
Lashey Hain Kandon Pe MagarJism Shamshan Ho Gaya