Bhikharan?
Lekin! Shakal-Surat,Rahan-Sahan
Ghar-Pariwaar, Sahuliyat
Yah Sab Dekh Kar Kaun Kahe ?
Bikharan…?
Aaj Maine Dekhi Hai Ek Aisi Hi Bhikharan
Bahut Paas Se Dekha Hai Maine Oose
Liye Bhikh Ka Katora, Aankhon Maie
Ghumti Hai Apne Hi Pariwaar Maie
Ooske Chahre Ke Bhaw Bata Rahe Thhe
Oose Ab Tak Bhikh Nahi Mili Hai
Aankh Ke Aanshu Sabse Chhupaati
Hothhon Ki Hansi Sab Par Lootaati
Liye Bhikh Ka Katora, Aankhon Maie
Ghumti Hai Apne Hi Pariwaar Maie
Aaj Maine Dekhi Hai Ek Aisi Hi Bhikharan
Aisa Kya Maang Rahi Hai, Pariwaar Se
Jo Mil Nahi Raha Oose Apno Se Bhi
Yahi Soch Kar Or Paas Gayi Maie Ooske
Girte Aanshu Se Maine Puchha Kya Mazra Hai?
Bikharte Oos Ke Aanshu Ne Kaha Pagli Hai,
Thhoda Sa -Ë—wakt-‘ Maangti Hai Apno Se