Beniyaazee Dekh^iye, Mehshar-Numaayee Dekh^iye
Shaam-E-Gham Ik Shakhs Kee Shaan-E-Khudaayee Dekh^iye
Khud-Sitaayee, Bevafaayee, Kaj-Adaayee Dekh^iye
Ahl-E-Dunyaa Kee Yeh T^arz-E-Aashnaayee Dekh^iye
Kaun Jaane Hastee-E-Mauhoom Kis Manzil Men Hai
Aarzoo Ke Saath^ Dard-E-Naa-Rasaayee Dekh^iye
Har Qadam Par Ik Ghazal Hai, Har Gh^aree Ik Naz^m Hai
Shaai’r-E-Fit^rat Kaa Shauq-E-Khud-Numaayee Dekh^iye
She’r Ke Pardeh Men :sarwar: Kaa Bayaan-E-Aarzoo
A’ashiqee Aur Us Pe Aisee Paarsaayee? Dekh^iye
Yoon Na Mujh^ Ko Dekh^iye, Lillah! Bazm-E-Shauq Men
Ph^ir Vohee Meree Zabaan Par Baat Aayee Dekh^iye
Aarzoo? Khwaab-E-Pareshaan! Hasraten? Daam-E-Khayaal
I’shq Ne Ham Ko Gh^aree Kyaa Kyaa Dikh^aayee Dekh^iye
Boltee Aankh^en, Zabaan Khaamosh Aur Dil Mut^ma In
Haz^rat-E-:sarwar: Ke Jee Men Kyaa Hai Aayee Dekh^iye