Bazm-E-Shamm-E-Sukhan Sajate Rahiye
Ghazal Sunte Sunate Rahiye
Yunhin Musalsal Muskuarte Rahiye
Tabasumon Ko Ashkon Mein Ghulate Raiye
Jab Tak Ke Yo Aitraaf Na Kar Lee
Bahane Pee Banhana Banate Rahiye
Sadiyon Se Soye Hai, Soye Rahenge
Faqat Luriyan Sunate Rahiye
Aatish-E-Firak Kabhii Nahin Bhujhati
Taumra Ashk Bahate Raiye
Humsafar Na Hue Ashana To Raho
Khana-E-Dilmin Aate Jate Rahiye
Jal-Jal Ke Bhujatihai Sham-E-Umeed
Hathon Ke Daire Banate Rahiye
Woh Dosti Rahi Ke Dushmani Amaan
Apne Hise Ke Nibhate Rahiye