Barish Ki Wo Ek Raat Kabhi Halki Halki
Kabhi Ek Dum Tez
Wo Barish Mein Bheegna
Aas Paas Ke Lehrate
Darkhatoon Ka Naha Jana
Phoolon Ka Nikhar Jana
Aur Achanaq Sekisi Ka Samne Aa Jana
Haya Se Palkoo Ka Jhuk Jana
Teez Chalti Hawaoo Mein
Aachal Ka Na Sambhalna
Khuli Zulfoo Ka Bikharna
Moyiyoo Si Boondo Ka Geerna
Wo Unki Nazro Se Bach Ke
Sharam Se Khud Se Ulajhna
Wo Waqt Ka Teezi Se Guzrna
Wo Humari Zindagi Ki
Uljhanoo Mein Khoo Jana
Wo Guzarta Waqt Yaad Aata Hai
Kisi An Dekhe Sapne Ki Tarah
Wo Barish Ki Boondein
Abhi Tak Hawaoo Mein Wo Khushboo Majood Hai
Kisi Seep Mein Rakhey Moti Ki Tarah.