Ban Kar Musafir Jhoot Ka
Tu Kab Tak Bhatke Ga
Ant Main Safar Ke Apne
Khud Se Kaise Nazar Milayega
Ant Main Tere Apne
Karenge Ghin Tujhse
Or Na Koi Na Hoga Tere Pas
Ban Ke Musafir Jhoot Ka
Ab Jo Lag Raha Tujhe
Safar Jannat Sa Khusgwar
Wahi Karega Madad
Or Lejayega Tujhe Patan Ki Or
Ban Kar Masafir
Tera Jeene Ka Maksad Kya Hai
Tera Marne Ka Maksad Kya Hai
Is Joothi Duniya Main
Tera Rahne Ka Maksad Kya Hai
Ban Kar Musfir
Rahen Anek Thi Tere Safar Se Pahele
Par Tune Chuni Wo Jo Ko Thi Sabse Aasan
Par Tu Samajh Na Saka Ki
Is Rah Main Chipe Bathe Hain
Na Jaane Kitne Haiwaan
Ban Kar Musafir Jhoot Ka
Ant Sooch Kar Tera Na Jane
Kyun Saham Jaata Hun Main
Teri Rah Main Chipe Kanto Ko
Dekhkar Saham Jata Hun Main
Koi Nahi Hai Tera Apna Is Duniya Main
Kyunki Kiya Hai Istmaal Har Kisiko Is Duniya Main
Ban Kar Musafir Jhooth Ka
Tu Kab Tak Bhatke Ga
Ankur