“Aye Khuda Kabhi Tu Bhi Zameen Pe Uttarkar Dekh,
Hoti Kya Judaai Kabhi Tu Bhi Bichhadkar Dekh.
Toot-Ta Hai Dil Kis Tarah,Roti Hain Aankhe Jis Tarah,
Kabhi Tu Bhi Iss Dard Ko Mehsoos Kar Ke Dekh.
Aey Khuda Kabhi Zameen Pe Uttarkar Dekh…..
Hum Rahe Harpal Unke Kareeb,
Par Phirbhi Kyun Woh Hume Kabhi Apna Na Paaye..??
Kaise Kat Ti Hai Iss Soch Me Phir Raatein,
Tu Bhi Ek Raat Soch Kar Dekh.
Aey Khuda Kabhi Zameen Pe Uttarkar Dekh…..
Dil Me Kitna Pyaar Hai Unkeliye,Ye Kabhi Keh Na Sake
Kareeb Rehke Kar Bhi Jab Pata Chale Unke Dil Me Bas Na Sake
Kaise Tab Dil Ke Hote Hain Tukde,
Kabhi Tu Bhi Apna Dil Tod Kar Dekh.
Aey Khuda Kabhi Zameen Pe Uttarkar Dekh….
Himmat Karke Phirbhi Kiya Unke Saamne Pyaar Ka Izhaar,
Ye Sunn Kar Rote Hue Kiya Unhone Hume Inkaar
Kaisi Roti Hai Tab Rooh Apni,Apne Pyaar Ko Saamne Rote Hue,
Kabhi Tu Bhi Apne Pyaar Ko Rota Hua Dekh.
Aey Khuda Kabhi Zameen Pe Uttarkar Dekh…..
Aaj Bhi Hai Dosti Ka Rishta Unka-Humara,
Nibhayenge Isse Sada Jab Tak Rahega Dum Humara.
Kaisi Hoti Hai Takleef Dabakar Apna Pyaar,Dosti Nibhana,
Tu Kabhi Aisa Ek Rishta Nibhakar Dekh.
Aey Khuda Kabhi Zameen Pe Uttarkar Dekh…..
Hoti Hai Kya Judaai Kabhi Tu Bhi Bichhadkar Dekh….