Aye Duniya Kya Tujh Se Kahein
Jaa Cher Na Hum Deewaano Ko
Pighli Hui Iss Aag Mein Jal Kar
Marne De Parwaano Ko
Waade Jhoote Pyar Bhi Jhoota
Jhoote Pyar Ke Rishtey Hain
Zehar Pilaa Kar Sula Rahe Hain
Hum Apne Armaano Ko
Sathi Jinko Loot Gaye
Aur Maut Bhi Jin Se Rooth Gayi
Log Sharabi Kehte Hain
Unn Dard Bhare Insaano Ko