Ashk-E-Gauhar-Taab Zeb-E-Dastaan Hota Raha
Qat^rah Qat^rah Qissah-E-Gham Yoon Bayaan Hotaa Rahaa
Lamhah Lamhah Ham Fareb-E-AarzU Khate Rahe
Yun Adaa Qarz^-E-Wafaa, Ai Jaan-E-Jaan! Hotaa Rahaa
Haq-Shanaasee Kee T^araf Apne Qadam Jab Jab Barhe
Mukhtasar Farq-E-Makaan-O-Laa-Makaan Hota Raha
Gulsitaan-E-Aarzu Men Voh Maqaam Aaye Keh Main
Rang Par Aataa Rahaa, Nazr-E-Khizaan Hotaa Rahaa
To Udhar Majbur Aur Main Is T^araf Be-Dast-O-Paa
Har Gharee Ik Imtihaan Par Imtihaan Hotaa Rahaa
Jastah Jastah Aap Ke Nazdeek Jab Aate Gaye
Ik Jahaan-E-Rang-O-Boo Ham Par A’yaan Hotaa Rahaa
Kaun Thaa Jo Meree Naz^ron Se Nihaan Rehte Huye
Saaz-E-Dil Par Chupke Chupke Nagmah-Khwaan Hotaa Rahaa?
Chheen Lee Jab Bekasee Ne T^aaqat-E-Guftaar-E-Shauq
Naalah-E-Khaamosh Meraa Ham-Zabaan Hotaa Rahaa
Kab Khulaa Mujh Par Bhalaa Raaz-E-Hareem-E-Bandagee?
Jis Qadar Kee Fikr, Utnaa Sargiraan Hotaa Rahaa
Is Muhabbat Kaa Bhalaa Ho! :sarwar:-E-Dard-Aashnaa
Be-Sar-O-Saamaan Huwaa, Be-Khanamaan Hotaa Rahaa