Apno Se Hi Zamane Mein
Thokar Khate Hain Log
Phir Bhee Apno Se Kyon Nazarr
Aate Hain Ye Begane Log
Sachi Jhuthi Batein Banakr
Khud Ko Behalate Hain Log
Apne Hi Hathon Dhokha Kahte Hain Log
Na Koi Manzil Aatii Hai Nazarr
Na Kisi Ke Aane Ke Khabar
Phir Bhee Yunhi Chalte Jate Hain Log
Durr Hokar Khud Se Bahut
Waqt Ke Peeche Jate Hain Log
Iss Duniyaa Ke Bheed Mein Khokar Bhee
Kitane Tanha Hote Hain Log
Chahat Mein Kisi Ke Itane Kho Jate Hain
Ke Khud Se Bekhbar Ho Jate Hain Log
Aata Hain Ynah Koi Kuch Barson Ke Liye
Peeche Rah Jate Hain Rote Log
Rukta Nahin Waqt Kisi Ke Jane Se
Naye Apne Talash Karte Hain Log
Yunhi Chalati Rahti Hain Ye Zindagi
Bas Badal Jate Hain Log