Apni Sukhan Ka Khud Hi Kadrdaan Ho Jaaoon
Kabhi Kabhi Sochta Hoon Insaan Ho Jaaoon
Maza Nahi Aata Yun Baithe-Baithe Jalne Mein
Jala Ke Masjide Do-Chaar Siyasatdaan Ho Jaaoon
Jala Ke Khaa’k Kar Doon Siyasat-E-Hindostaan Ko
Jhoothe Jehaadiyoon Se Pehle Main Hi Raqeeb-E-Hindostaan Ho Jaaoon
Itna Chal Ke Bhi Jab Manzil Nahi Dikhti Mujhe
To Jee Mein Aawe Hai Sarfarosh Ho Jaaoon Be-Imaan Ho Jaaoon
Ghar Basaane Mein To Abhi Muddatein Lagengi Shayad
Pehle Sang-O-Khisht Ka Makaan Ho Jaaoon
Ya Fodta Chaloon Sar Apna Har Diwaar Par
Main Pagla Ho Jaaoon Main Nadaan Ho Jaaoon
Tasalli Se Nikalti Hai Garmi Us Roz She’roon Mein
Jis Roz E-”Gohar” Main Pareshaan Ho Jaaoon