Apni Manzil Ko Shayad Piche Chod Aaye Hain
Aisa Lagta Hai Hum Kuch Dur Nikal Aaye Hain.
Mai Wo Mai Nahi Raha Ab Jo Mai Thaa‚  Kabhi;
Ab To Wo Bhi Badle – Badle Nazer Aaye Hain.
Rabta Her Cheej Se Chot Sa Gaya Hai;
Aisa To Nahi Hum Khud Mein Simat Aaye Hain.
Baghdor -E- Zindagi Se Haath Zakhmi Ho Gaye ;
Maut Ne Bhi Humpe Bare Sitam Dhaye Hain.
Her Dar -O- Deewar Humse Ker Rahi Hai Kuch Sawal;
Muddaton Ke Baad Hum Is Taraf Aaye Hai.
Dil Hai Ke Bus Dhundta Hai Jaane Kiski Hai Talash;
Hum Na Jane Kaun Si Bhul Aaye Hain.