Apni Hastee Ka Hota Sabhi Ko Paas Hai
Apni Apni Nazar Maen Har Koi Khaas Hai
Jis Khushi Ki Yaas Maen Gum Umr Saari
Gar Sochho To Vohi Dil Ke Aaspaas Hai
Yun To Sabhi Apne Apne Safar Ke Raahee
Par Ek Hamsafar Ki Har Kisi Ko Aas Hai
Tishnagi Badhne Lagi Deedaar-E-Yaar Ki
Bujhti Nahi Jo Kabhi Ye Voh Pyaas Hai
Ladkhadati Zubaan Shikwaa-E-Jaur-E-Adoo
Hota Nahi Hamse Zor-E Tark-E-Ikhlaas Hai
Hoga Jahaan Maen Qaem Aman Kis Tarah
Aadmi Ko Hii Nahi Aata Aadmi Raas Hai
Husn-O-Ishq Se Pare Aaj Fikr-O-Nazar Meri
Pehlu Maen Tere Dil Phir Bhi Udhaas Hai
Behis Hui Jati Hai “Fer” Aalame-Zindagi
Na Khushi Ab Koi Na Gham-E-Ehsaas Hai