Apni Har Subhein Us Ek Naam Se Shuru Hoti Hain
Or Shaamein Bhi Usi Chehre Pe Ruk Jaati Hai,
Ye Khabar Hai Hamko, Unko Bhi Shaayad
Par Afsos Aaj Ke Is Dour Me Eisi Baatein Bhi
Bataai Or Jataai Jaati Hai,
Kabhi Maapaa Hi Nahi Yoon To
Ke Kitne Gehre Utar Gaye Is Chaahat Me,
Naadaan The, Hum Ye Bhi Na Samjhe
Mohobbat Me Gehraaiyaan Nahi
Uonchaaiyaan Dikhaai Jaati Hai,
Ham To Apni Hi Duniya Me Jeete The
Kisi Apne Ne Samjhaya To Samajh Aaya,
Ye Daur Prachaaron (Publicity) Ka Hai Ey Dil
Ab To Eisi Bhaavnaaein Bhi
Ishtehaaron (Advertisment) Ki Tarah Dikhaai Jaati Hai.