Analhaq Ka Muazzin Manzoor Hai
Faisla Un Ka Humein Manzoor Hai
Sir Qalam Kar Deejiye Farmaaiye
Jalwah Afrozee Numaayaan Toor Hai
Hum Kharhey Hain Baandh Kar Sir Par Kafan
Aur Qaatil Khwaahish-E-Magroor Hai
Chaak Seeney Mein Qaraar Aayegaa Kyu
Wahaan Ab Ban-Ney Lagaa Naasoor Hai
Reishmee Aagosh Mein Bey-Hosh Hoon
Leejiye Saaraa Jahaan Makhmoor Hai
Rindgee Ko Aur Ab Kyaa Chaahiye
Saaqiyah Hai! Dukhtar-E-Angoor Hai
Hosh Mein Mein Ya Ki To Bey-Hosh Hai
Kyoun Ki Ahsaas-E-Fanaa Kaafoor Hai
Main Piyoon To Kya Kisi Ka Jayega
Aaj Zaahid Tak Nashey Mein Choor Hai
Tum Na Aaougey To Hum Mar Jaayengey
Zindagee Itnee Huyee Majboor Hai
Aur Kab Tak Rahoon Mein Jetaa ‘Abd’
Aaj Ka Din Khoob Hai Aasoor Hai!