Aji Khwab-E-Mohabbat Ki Kya Tabeer Hoti Hai
Khulay Aankh To Dunia Dar Ki Tasveer Hoti Hai
Umeed Toot Jaye Aur Phir Bhi Jeeta Rahe Koi
Na Pooch Ai Dost, Kya Phooti Hui Taqdir Hoti Hai
Dard Ki Syahi Say Likha Yeh Mera Nasib Tha
Bik Gayee Meri Mohabbat Mein Gareeb Tha
Pal Bhar Ko To Hum Bhi Na Sambhal Paaye Thay
Guzra Hi Voh Haadsa Hum Par Ajeeb Tha
Tamaam Umar Zindagi Samajh Jisay Chaha
Voh Akhri Safar Mein Bhi Na Mere Karib Tha
Khushian Baantata Raha Mein Sabsay Zindagi Ki
Ab Gum Kay Andheron Mein Na Koi Shariq Tha
Salika Jeenay Ka Gul Yoon Hamein Sikhatay Rahay
Ki Beech Kaanton Kay Reh Kar Bhi Hum Muskaratay Rahen
Dushmanon Say Ab Koi Shikwa Nahi
Doston Nay Bhi To Pehchana Nahi
Zindagi Say Hus Kay Yoon Milta Hun Mein
Jaise Dard Say Mera Rishta Hi Nahi