Aisa To Nahin Ke Maut Jhukti Nahin Zindagi Ke Aage,
Kisi Ne Zindagi Ko Tabiyat Se Aazmaya Hi Nahin,
Guzarte Lamhon Se Poocha Maine Jate Kahan Ho,
Bole Belagaam Pehlu Humein Kisi Ne Bulaya Hi Nahin,
Dhoondha Karte The Sare-Mehfil Mujhe Mere “Shubhchintak”,
Raqeebon Ne Tanhaiyon Mein Aawaz Lagaya Hi Nahin,
Mujhse Bola Khuda Kyon Dosh Deta Hai Muqaddar Ko Apne,
Taqdeer Badalne Ko Haathon Pe Tune Khanjar Chalaya Hi Nahin,
Mohabbat Ki Maine Jisse Wo Ek Khoobsurat Phool Tha,
Zakhm Jo Lage Dil Ko To Inpar Malham Lagaya Hi Nahin,
Maine Poocha Khuda Se Kyon Itne Kaante Chubhe Hain Mujhe,
Wo Bola Phoolon Ki Khatir Kaanton Ko Tune Apnaya Hi Nahin,
Wo Jiski Ek Muskurahat Ka Deewana Hua Tha Main,
Meri Majaar Par Bhi Usne Ashq Bahaya Hi Nahin,
Dil Dhadakta Hai Mera Ab Bhi Jabki Ek Zinda Laash Hoon Main,
“Ehsaas” Tune “Maut Ka Ehsaas” Dil Ko Samjhaya Hi Nahin.
Ehsaas Tune Shiddat Se Dil Lagaya Hi Nahin,
Mohabbat Hai Maut Ki Aarzoo Ye Tu Samajh Paya Hi Nahin,
Mohabbat Hai Maut Ki Aarzoo Ye Tu Samajh Paya Hi Nahin.