Aisa Na Ho Paaya Hai,Aisa To Na Ho Payega,
Gar Tu Mujh Ko Chaahega To Hi Mujh Ko Payega.
Duniya Main Khushi,Duniya Main Sukoo.N,Jo Sab Mil Jayega,
Na Lazzat-E-Jannat Na Khauf-E-Khuda Baqi Phir Reh Jayega.
Lazzat—Joy, Pleasure
Karta Hai Tu Apni Baatein Auro.N Ki Bhi Soch Zaara,
Aadmi Aur Insaa.N Main Phir Farq Nazar Aa Jayega.
Mazhab Ki Kheenchi.N Deewaarein Sarhad Bhi Bana Daali.N,
Khoon Ke Rang Ko Tu Bhala Kaise Juda Kar Payega.
Intaha-E-Zulm-O-Sitam Zamana Tassawwur Na Kar Payega,
Zalim Hi Mazloomo.N Ka Haakim Jab Ban Jayega.
Intaha—-Extrimity,Tasawwur—Imagine,
Zehno.N Pe Parda Pada Hai Jo Yeh Faisla Diya Hai,
Ghandhi Ki Dharti Pe Zalim Zulm Ko Nangz Nachayega.
(In The Context Of Gujrat Poll)
Dein Na Sahi Raste Ka Pata Apne Bhi Is Daur Main Jab,
Manzil Ki Mehroomi Par Kya Farq-E-Dushmano Dost Reh Jayega.
‘Adil’ Tujh Ko Qadam Qadam Pe Phir Sochna Pad Jayega,
Girne Par Apna Paraya Har Shakhs Hansta Nazar Jab Ayega.”