Abhi Chanda Ki Nagri Se Koi Paigham Aye To
Kabhi Taron Ke Honto Par Kisi Ka Naam Aye To
Kabhi Tareek Shab Mein Koi Jugnu Jagmagata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai
Kabhi Jab Saans Se Uthhta Dhuan Mehsoos Hota Ho
Ajab Si Aanch Pe Harr Ki Ruan Mehsoos Hota Ho
Tab Us Ke Pyar Ke Sawan Mein Tann Mann Bheeg Jata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai
Kabhi Rato Ko Uth Uth Kar Buhat Bechain Hoti Hu
Agar Jo Laitna Chahu To Bass Takiye Bhigoti Hu
Koi Roothi Hui Sab Neend Ki Parian Bulata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai
Kabhi Jab Titlion Ke Pankh Bhi Be Rang Ho Jaye
Meri Sari Bahare Bhi Khizan Ke Sang Ho Jaye
Tabhi Ik Aas Ka Panchhi Dar E Dil Khatkata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai
Woh Jis Ke Dhyan Ki Kirne Hame Harr Subh Jagati Hain
Usi Ki Yaad Ke Saye Mein Shaame Muskurati Hain
Mujhe Chhu Ke Jo Harr Shab Sang Se Heera Banata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai
Kabhi Ziddi Si Koi Yaad Daaman Thham Baithe To
Kabhi Kaga Hamari Chhat Pe Subh O Sham Baithe To
Kabhi Bhatka Koi Wada Jo Darwaza Bajata Hai
Mujhe Woh Yad Ata Hai