Abhee To Khwab Zinda Hai
Muhabbat Ke Jahan Main Roshni Ka Saaz Bajta Hai
Hawaon Main Chanbaili Ka Abhi Andaz Sajta Hai
Hathaili Say Tumharay Naam Ki Khushboo Nahin Roothi
Hamary Haath Say Umeed Ki Tasbeeh Nahin Chooti
Abhee To Khwab Ki Taqdeer Main Merna Nahin Likha
Hamari Qismiton Main Hijer Ka Panna Nahin Likha
To Phir Yeh Kaisay Mumkin Hai K Ham Donon
Anaa K Wajbi Say Khol Main Mehsoor Ho Jain
Khudi K Hathon Say Kuch Iss Trah Majboor Ho Jain
K Aankhon Par Faqet Nafret Ka Pehra Ho
Hamary Aur Tumharay Dermiyan Sirf Dard Thehra Ho
Dilon Ki Wadiyon Main Tishnagi Hi Gashat Karti Ho
Tareeki Ko Hamara Aur Tumhara Bakhat Kerti Ho
Kaho Janan!Kia Tumhain Aisa Nahin Lagta
K Anaa Ko Rastay Main Chor Daina Hi Munasib Hai
Apni Aadton Ko Ore Daina Hi Munasib Hai
Kion K Abhee To Khwab Zinda Hain