Ab Voh Pehle Si Shanasai Bhi Nahi
Tanhai To Ye Hai Ke Tanhai Bhi Nahi
Hua Hai Jab Se Khyaale-Yaar Hamraah
Qurb Nahi Haasil To Judai Bhi Nahi

Dil Hai Ke Jaane Khuda Kis Maqaam
Qaid Maen Bhi Nahi Rihaai Bhi Nahi
Hui Is Qadar Viraan Mehfile Tanhai
Ke Rah Gayi Ab Parchhayee Bhi Nahi
Aap Aur Bhule Mujhe Ye Kaise Mumkin
Ab Tak To Yaad Meri Aayi Bhi Nahi
Mayoos Badaa Aap Ki Bazm Se Lauta
Baat To Baat Are Roonumai Bhi Nahi
Ye Kyaa Abhi Se Tang Aa Gaye Aap
Abhi Kya Abhi Puri Sunaai Bhi Nahi
Ab Vohi Kare Yaad To Shayad Ho Kuch
Hai Khwabo Khyaali Itni Rasai Bhi Nahi
Kyon Na Ubhrey Shauqe-Ghazal Sarai
Tabiyat Ab Se Pehle Kabhi Aai Bhi Nahi
Vaham Hai Yaqeen Hai Ya Khusfahmi
Ho Ga Mujh Sa Koi Shedaai Bhi Nahi
Gustakhiye-Qalaam Voh Karenge Muaf
Kya Unse Ab Itni Aashnaai Bhi Nahi
Parh Kar Ghazal Aap Ho Gaye Khamosh
Taareef To Ki Nahi Burrai Bhi Nahi
Aad Maen Ghazal Ke Iqraare-Mohabbat
“Fer” Dana Nahi To Saudaai Bhi Nahi