Ab To Mere Dil Mein Viraniyon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Aur Meri Nazeron Mein Duriyon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Bhala Koi To Bataye Wahan Baat Kaise Aage Badhe
Her Sawal Ka Jabab Jahan Khamoshi Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Dana To Chalte Chalte Pehchan Bana Leta Hai
Warna To Andhiri Rahon Mein Gumnamiyon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Dana Hi Mit-Te Mit-Te Pechan Bana Leta Hai
Warna To Dafan Hona Khudkushi Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Jab Aaye Doston Mein To Daga Bhi Jaan Li
Warna To Humne Sikha Khidmat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
Tumne Dekh Li Apni Soorat To Mubarak Ho Tumhein
Humein To Aaine Mein Nazer Aaya Mazi Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi.
Socha Jo Ek Roj Humein Kya Ishq Mein Hasil Hua
Dard Mila, Aanshu Mile Aur Badnamiyon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi.
Chalo Mastghan Is Sheher Se Kahin Door Chalte Hain
Her Shakhs Ki Juban Per Yahan Pareshaniyon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi.