Ab Ke Ham Bichhade To Shaayad Kabhii Khvaabon Mein Milein
Jis Tarah Suukhe Hue Phuul Kitaabon Mein Milein
Dhuundh Ujade Hue Logon Mein Vafaa Ke Motii
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein
[Uja.De = Desolated, Ruined; Kharaab = Bad]
Tuu Khudaa Hai Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa
Donon Insaan Hain To Kyon Itane Hijaabon Mein Milein
[Hijaab – Veil, Here It Means Barrier]
Gam E Duniyaa Bhii Gam E Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nashaa Badataa Hai Sharaben Jo Sharaabon Mein Milein
Aaj Ham Daar Pe Khenche Gaye Jin Baaton Par
Kyaa Ajab Kal Vo Zamaane Ko Nisaabon Mein Milein
Ab Na Vo Main Huun Na Tu Hai Na Vo Maazii Hai `faraaz’,
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein
[Maazii = Past; Saraab – Illusion, Mirage]