Ab Hum Zindagi Se Aur Kya Maangey
Bewafa Hua Jo Sanam Ya Maut Ki Dua Maangey?
Milta Hai Na, Jab Jab Jo Bhi Chaha Tha Humney
Dil Darta Hai Ki Ab Hum Bahaar Maangey Ya Phir Bas Khija Maangey
Naam Se Hi Jiske Mehak Si Uthi Hai Yaha Waha,
Hum Kaise Us Phool Ki Khushbu Ki Giraf-Taari Maangey?
Aankhaon Me Aa Jaati Hai Nami Si, Kuch Oos Si, Jaan Jaati Hai Phir Duniya Bhi,
Sabse Chup Jaaye Vo Kaise Hum Raajdaari Maangey?
Dur Duniya Se Hote To Shayad Chal Bhi Jaata, Par Hum Jabse Hue Khud Se Juda
Sochtey Hai, Dil Ki Lagi Ki Chot Ke Baad Aur Kya Maangey?
Dekhtey Hai Jab Aisa Suluk Hote Apney Saath Ab Roz Roz
Kaaamp Jaatey Hai Honth, Ki Hum Bewafa Hua Sanam, Ya Phir Wafa Maangey
Bas — Ab Hum Zindagi Se Aur Kya Maangey,
Bewafa Hua Jo Sanam Ya Maut I Dua Maangey?