Ab Bina Gum Ke Jindagi Ka Guzara Nahi Hota
Ek Khushi Ke Kareeb Jaane Se Dar Lagta Hai
Aisi Aadat Hui Hai Dil Ko Ab Tanhai Ki
Mehfil Mein Bat Sunane Se Dar Lagta Hai
Sehmi Aankhon Mein Neend Samet Lene Do
Inmein Sukoon Samaane Se Dar Lagta Hai
Dhokha Khane Ka Ye Dil Hai Iss Kadar Kayal
Ek Wada Bhi Nibhaane Se Dar Lagta Hai
Mujhe Nafrat Bhari Aandhi Ki Darker Doston,
Muhabbat Ko Ab Apnane Se Dar Lagta Hai.
Koi Taiyar Karo Saaz-O-Saaman Meri Mayyat Ka,
Ab Ye Jehmat Bhi Utane Se Dar Lagta Hai.
Aakhiri Khwaish Yahi Ki Dhadkane Ye Tham Jaye,
Ab Toh Saans Liye Jane Se Bhi Dar Lagta Hai