Ab Bhi Jab Unki Gali Se Guzar Karte Hain
Unke Ghar Pe Jaane Kyun Nazar Karte Hain
Aankhon Main Dil Main Bhare Hain Saraab
Par Hum Kahan Kissi Ko Iski Khabar Karte Hain

Woh To Khush Naseebi Ke Din The Jo Guzar Gae
Ab Kahan Woh Rukh Apna Idhar Karte Hain
Daste Hain Nagin Ki Tarah Ye Alfaz-E-Ruswaae
Kya Bataien Ke Hum Kaise Guzar Basr Karte Hain
Uff Khaamoshi Har Jagan Dil Ko Daratti Hai
Chalo Is Sanate Main Hi Teh Ye Rahguzar Karte Hain
Dard To Ye Barta Hi Rahega Iska Koi Ilaaj Nahin
Nashtar Le Kar Bhi Hum Kaanton Pe Safar Karte Hain
Muhsin Kya Baat Hai Aap Ki Ghazal Ki Bhi
Seedha Dil Pe Aake Aap Asar Karte Hain