Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj Dard Phir Kuch Sunaiga
Tanhai Nay Baandhay Hain Gunghru
Aaj Waqat Bhee Thahar Jaiga
Chaand ! Apni Chandni Idhar Rakh Jaanaa
Aanay Hain Aaj Kuch Bhulay Huay Say Chayhrey
Ashqo ! Aaj Tum Bhee Ji Bhar Kay Beh Lenaa
Behal Jaayn Aisay Hi Shayad Ahsaason Kay Sfeenain
Naghmon !Aaj Kadam Sambhal Sambhal Kay Rakhna
Aaj Ki Raat Khwaabon Kay Naam Hain
In Lamhon Ka Hai Chalan Aisaa
Ki Aaj Tarpaygi Takhleeq Lefz Dar Lafz
Khaamoshi Ka Zehar Subko Pilaayaa Jaigaa
Aaj Ki Raat Zindgi Pay Bhaari Hain
Aaj Jalaingay Khwaahishon Kay Alaav
Hanstay Hanstay Hoga Aaj Umeedon Ka Qatl
Meri Zindagi Aaj Phir Mayzbaan Bani Hain
Wo Baras Jab Jazbaat Nay Li Thi Pehli Angrai
Us Baras Ki Yaad Aaj Mehmaan Bani Hain
Wo Dur Ufaq Pay Uthtay Hain Ghubaar
Mehmaanon Kay Qaafily Pahunchnay Waalay Hain
Dard-I-Dil Ko Sambhaalun Ab Main
Ai Fazaaon Tum Hawaaon Pay Likh Lena
Behoshion Main Nazm Jo Banaa Loon Ab Main