Aaj Phir Tum Us Beete Hue Saawan Ka Jikr Na Karo
Bardaasht Nahin Hota Ab In Aankhon Ka Bhar Aana
Tanhaai Mein Phir Se Wo Beete Lamhe Yaad Karke
Nahin Chahta Us Samandar Ko Aankhon Se Barsaana
Is Baar Ka Saawan Yun Aaya Aur Chala Gaya
Aur Ye Nigahein Tarasti Rahi Har Ghadi Tere Deedar Ko
Door Rehkar Tum Pyaar Jataane Ki Koshish Karti Rahi
Kya Khoob Samajh Paayi Tum Meri Chahat Mere Pyar Ko
Laakh Bulaane Par Bhi Tum Mere Paas Na Aa Saki
Tumhe Gale Se Lagaane Ko Main Baahein Phailata Raha
Ek Pal Ke Liye Hi Sahi Tum Saamne Aa Jaogi Mere
Jald Hi Aayega Wo Pal Apne Dil Ko Samjhaata Raha
Palkon Ko Band Karke Sochta‚  Tha Tum Saath Ho Mere
Par Jaldi Hi Khwabon Ka Ye Bhram Bhi Toot Kar Jaata Raha
Tum Kya Jaano Kis Kadar Tumhari Jaroorat Thi Is Dil Ko
Jo Kehkahon Mein Bhi Ye Chip Kar Aansu Bahaata Raha
Bin Tumhaare Jindagi Ye Meri Kya Se Kya Hoti Rahi
Har Lamha Har Ghadi Iski Jaise Baddua Hoti Rahi
Kya Mere Dil Ne Tujhe Rabb Ki Tarah Nahin Pooja
Phir Kyun Namanjoor Mere Is Dil Ki Har Dua Hoti Rahi
Kuch Kar Sakti Ho To Bas Itna Hi Karam Kar Do Mujhpar
Meri Jindagi Se Chali Jao Aur Kabhi Wapas Na Aana
Tumne To Keh Hi Diya Apni Mohabbat Ko Ektarfa
Ab Gham Nahin Mujhe Agar Bewafa Bhi Kahe Jamaana