Aaj Phir Ekk Sipahi Jung Mein Shaheed Ho Gaya
Jaate Jaate Apni Saanse Humare Naam Kar Gaya
Khud Dushmano Ke Waaron Ko Apne Seene Pe Le
Humme Zindaagi Bhar Jeene Kii Yeh Sazaa De Gaya
N.Jaane Kaise Uthaonga Iske Ehsaano Kaa Bojh
Har Lamha Meri Zindaagi Ka Iska Rinni Ho Gaya
Jee Thi Isne Apni Zindaagi Sada Doosron Ke Liye
Hum Sote Rahein Isliye Yeh Jaagta Chalaa Gaya
Hun Aone Gharon Mein Mehfooz Aur Aabad Rahein
Isliye Yeh Apne Ghar Ko Aur Apno Ko Chhod Gaya
Mere Do Lafz Bhii Naakam Hain Yeh Bataane Ko
Kii Yeh Jawan Aakhir Humare Liye Kya Kar Gaya
Chalonga Mein Us Raah Par Jo Yeh Mujhe Dikha Gaya
Pura Kardoon Jo Yeh Kaam Adhoora Hain Chhod Gaya